Ambar ki ek paak surahi
badal ka ek jaam uthakar
ghoont chandni pee hai humne
baat kufra kee , ki hai humne..
Amrita Preetam
To doston humare blog aaj Chand aur Chandni ke naam par..
Achcha bataiye to chand se hum sabka pehla parichay kab ka hai
Shayad un loriyan se na jo bachpan mein maan humaein pyar se sunaya karti thin
Chanda Mama door ke
Puye pakayein hoor ke
Aap khayein thali mein
Munne ko dein pyali mein
To bachpan ke wo hamare pyare se mama kab zindagi ki rahguzar par chalte chalte humare humsafar ban jayenge bhala ye kaun jaanta tha. Isiliye to kisi shayar ne arz kiya hai ki
Ye chand bhi kya hasin sitam dhata hai!!
bachpan mein mama, aur jawani mein sanam nazar aata hai!
Kya aapne kabhi chaand ke sath safar kiya hai!
Maine to kayi baar hi kiya hai chahe wo bas ka safar ho ya train ka
Khidki ke bahar door chitij mein sath sath hi to chalta raha hai wo
Kya aise mein kabhi aapka man nahin hua ki kash ye chand dharti pe utar aata
Aye chand khoobsurat
Aye aasman ke tare
Tum mere sang jamin pe
Thodi si raat gujaro
Kuch apni tum kaho
Kuch lo meri khabar
Ho jaye dosti kat jaye ye safar
Chand ki baat ho to aur uski Chandni ki baat na ho aisa kabhi ho sakta hai bhala
Nahin jee nahin !Harghiz nahin
Jara sochiye to..
Jab surya devta apna raudra roop dharan karte hain..
Aur apni kirnon ke vaar se hum sabhi ko jhulsa dalte hain..
To sham ke sath aayi ye chandni hi to humein apni dost si dikhti hai..
Jiskii vishal narm bahon mein sar rakhkar kisi apne ki yaad barbas hi aa jati hai ..
Bikhri huyi Narm si chandni
Lahron ke ghar jaa rahi roshni
Lamha lamha cho rahi hai sard hawayein
Tanha tanha lag rahe hain apne saye
Yaad aye koi..
To aaj ke liye to doston itna hi chand ke sath humara aage ka safar jari rahega….
No comments:
Post a Comment