
teri baat hi sunaane aaye, dost bhi dil hi dukhaane aaye
phool khilte hain, to hum sochte hain, tere aane ka zamane aaye
shayad mujhe nikaal ke pachta rahe ho aap
mehfil mein is khayaal se phir aa gaya hoon main
mehfil mein baar baar kisi par nazar gai
humne bachai laakh, magar phir udhar gai
unki nazar mein koi to jaadu zuroor hai
jis par padi, usi ke jigar tak utar gai…
us be-wafaa ki aankh se aansu jhalak pade
hasrat bhari nigah, bada kaam kar gai…
unke jamaal-e-rukh pe unhi ka jamaal tha
woh chal diye, to raunak-e-shaam-o-sahar gai…
Jamaal-e-Rukh: Glowing face
unko khabar karo ke hai ‘Bismil’ Qareeb-e-marg
woh aayenge zuroor, jo un tak khabar gai
Kareeb-e-Marg: Approaching death, on death bed